Alvida


Ik begane sheher me 
Safar shuru kiya tha humne
Na socha tha ki itne
Gehre rang ye chhodega apne

Faasle na rakhne diye 
Is haseen Dilli ne koi 
Har boond me apna naam bhar diya isne

Inhi boondon ki baarish aaj 
Aankhon se ho chali hai 
Dilli ki hi mitti aaj bheeg rahi hai 



Apna banana iss sheher ko 
Kumzor Dil ke bas ki nahi 
Hum to bilkul mulayam aaye the 
Socho Hume bhi bahadur bana Diya isne 

Saath le ja rahe hai dosti ka khazana 
Aisi shayad hi fir kabhi takdeer mil paegi 
Ke badh chale hum ek ek kadam manzil ki oor 
Aur saath dosti ki khushboo jaegi 

Na socha tha ke roenge kabhi 
Sheher to ye chhodna hi tha hume
Magar himmat aage badhne ki bhi issi sheher ne di hai
Aaj roenge us himmat se hi 

Alvida kehti hun aaj 
Inn sadko ko inn galiyon ko 
Inn doston ko Iss begane sheher ko 
Na chahkar bhi tujhme ghul gayi hun Mai 
Dekh ... Shayad ab Mera rang tujhme kahi dikhne lage ...

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

A Brave Heart!

Travels Across the UK : Dover